How to increase subscriber on youtube

Dosto  agar aap apne subscriber ko badana chahate he to 

aaj is artical ko pura padiyega, apko mai aisi trick or aisi bate bataunga 

jisko ap follow krenge to 100% apke subscribe increase ho jayenge.

Agar apko koi ye kahe ki hum ek din me apke 1000 subscribe bada ke denge

to ye galat he, kyoki koi bhi aisi website nahi bani he jisse apke subcriber sach me 

ek din me 1000 ho jaye.  Dosto apne bhut se video dekhe hoge subcriber increase krne ke liye

or apne un website me apna registration bhi kiya hoga.. or apke subsriber bhi increase hue honge

lekin mai bata du, ye sab website farzy he ,


Aaj mai apko apna 4 se 5 saal ka experience share karunga:Dosto jab maine 2017 me apna channel banaya tha tb mujhe bhi paise kamane ki bhut jyada chul thi

isliye maine apna channel banaya or channel ka naam rakha Technical bhanuji, or aaj mere 

20,000 subscriber pure hone wale he, lekin kya aap jante he ki mere channel me jab ek bhi subcriber nahi the

tb maine apne subcriber ko badane ke liye kya kya kiya.


Jab maine pheli baar apna channel banaya tb mujhe ek bhi subscriber nahi aaye lekin phir maine ek website me apna

registration kiya jaha pe mujhe kaha gaya ki agr ish website me registration karoge to apke subscriber increase ho jayenge

or jab maine ush website me registration kr diya, tb ush website me mujhe kaha gaya ki yaha pe jo bhi channel he un channels

ko mujhe subscribe krna hoga, jitne channel ko mai subscribe krunga utne mere subscriber increase hote jayenge

or mai har din 40 se 50 channels ko subscriber krta tha or aisa krne se mere subscriber bhi increase hone lage mai bhut khush ho 

gaya ki mere subscriber increase ho rahe he. Aur aisa krte karte mere subscriber 100 crose ho gaye. Ab mai har din subscriber increase krne me laga rehta

phir ek din jab maine apna channel open kiya to usme se automatic  mere channel ke subscriber kam hone lage

Mai kuch samajh hi nahi pa raha tha ki akhir aisa kyo ho raha he, or dheere dheere krte krte mere saare subscriber chale gaye. or mere channel phir se zero me pahuch gaya

mujhe bhut gussa aya ush website me . To dosto ap samjh gaye honge ki apko bhi kisi bhi website me ja ke aisa koi kam nahi krna he jisse apka time kharab ho.


phir dosto maine apne local area ke videos upload krna chalu kiya or har roj mai kuch na kuch upload krta tha, aisa krne se mujhe ek mahine me wapas se kuch subscriber milne lage

ab maine apne knowledge ke hisab se technical videos dalna suru kiya or dhere dhere mere channel ki growth badne lagi, or aaj bhi log mere channel ko bhut pasand krte he kyoki 

unhe mere channel se bhut sara knowledge milta he.


Subscriber increase krne ke liye kare ye kam

1). Har din video dale:

Har din koi na koi video upload krte rahe. kosish kre ki video kuch knowledge ka ho , 

kyoki jab tk kisi ko apke video se fhayda nahi hoga tb tk koi apko subscribe nahi krega


2).Har video me tag de

 Apne videos me tag dena na bhule, kyoki apke video me agar tag nahi 

honge to apke video ko koi nahi dekh payega , jitna ho sake ache ache tag de


3). Social media me apne video share kare

Dosot social media ek aisa plateform he jaha pe ap apna video share kr ke logo ka dil jeet sakte he


4). Trendding topic pe video banaye

Trending topic 


5).  Paid promtion kare

100 Subscriber hone ke baad ap cahe ko apne subscriber increasae krne ke liye paid promotion ka sahara le sakte he. Lekin 

apko dhayan rahe ki paid promotion tbhi kar jab apke bhut sare video youtube me mojud ho.


Post a Comment

0 Comments