Dosto agar ap apne whatsapp me status lagana [ status kaise chupaye]
pasand krte he or apka status har kisi ko dikh jata he [ whatsapp status kaise chupaye]
lekin ap chahate he ki apka status har kisi ko na dikhe. [
Sirf unhe hi dikhna chaiye jinhe hame status dikhana he.
Iske liye apko krna hoga whatsapp me kuch settings.
ye setting hone ke baad apka whatsapp status sirft unhi logo ko
dikhega jinko ap dikhana chahate ho.
Chaliye jante he ki aakhir wo konsi setting he jisse
app whatsapp status ko hidde kr sakte he ya phir apne
status ko chupa sakte he
Dosto apne status ko chupane ke liye apko sabse phele
apne :1) apne whatsapp ko open kre.
2). ab status wale coloum me click kare
3). ab top me three dot pe click kare
4). Dot pe click krne ke bad apko Status Privacy dikhega.
Status privacy pe click kare
5). yaha pe apko teen option ayenge jisme likha hoga
a). My contacts: Agar ap is pr tick krte he to apka status apke
mobile ke sare contacts ko dikhai deta
b). My Contacts except: Agar ap is pr tick krte he to apke samne
apki sari contact list open ho jayegi, ab ap yaha pe jis bhi contact
ko tick krenge , usko apka status nahi dikhega aur jisko ap tick nahi krenge
usko apka status dikhega.
c). Only share with: Agar ap is pr tick krte he to apke samne phir se contact
list open ho jaygi or yaha pe ap jis bhi contact ko select krenge bus wo hi apka
status dekh payenge aur jise ap tick nahi krenge use apka status nahi dikhega
To dosto is tarha se aap apna status jise dikhana chahate he bus use hi dikha payenge.
Man lijiye agr apka kisi se jhagda ho gaya or apko uske liye status me kuch lagana he or
ap chahate he ki apka status bus wo hi dekhe or koi dusra na dekhe to bus ap apne status
me ja ke ye setting kr dijiye uske baad jo bhi status lagayenge wo automatic sirf unhi ko dikhega
jinko apko dikhana he.
0 Comments